Saturday, March 2, 2013

Latest new Bikhari ki Paheli

Bikhari nahi par bikh mangata ha,
ladaki nahi par pars use karta hai,
pujari nahi par ghanti bajata hai,
batao kon hai wo?


Monday, February 18, 2013

Red Green Ki Paheli

Hari Dandi
Lal Kaman
Toba Toba
Kare Insaan
Btao Kya?

Saturday, February 9, 2013

Dimag Hai to Jawab Do

Padhne me, Likhne me
Dono Me hi Mai Aata Kaam
Pen Nhi, Kagaj Nhi
Btao kya hai Mera Naam?


Thursday, February 7, 2013

Insaan Bhagwan ki Paheli

Aisi kon c chiz hai jise
aage se to bnaya hai bhagwan ne
or piche se insaan ne?

Friday, January 25, 2013

Sunder Ladko ki Paheli

Do Sunder Ladke
Dono ek Rang Ke
Ek Bichad Jaye.
To Dusra Kaam Na aye.

Thursday, January 3, 2013

New Year Ki Pahelli

wo konsi cheez hai jo ladki saal me 1 baar pahnti hai
aur ladke 12 mahine pahnte hai?.


Sunday, December 23, 2012

Sardi ki Paheli


Aisi kon si cheej hai jo adhik thand Sardi me bhi pigalti hai..

 ऐसी कोनसी  चीज़  ह जो  अधिक ठण्ड में भी पिगलती है.!

Sunday, December 16, 2012

March April ki Paheli

Samajhdar log jawab do...
April march se pahle kahan aata hai ??

Sunday, December 9, 2012

chor ki paheli

char khando ka nagar bana
char kuye bin pani
chor 18 usme baithe
liye ek rani
aaya ek droga
sabko peet-peetkar
kuye me dala.
 Btao Kya?

 चार  खंडो का नगर बना
 चार कुए बिन पानी
 चोर  18 उसमे बैठे
 लिए  1 रानी
 आया  1 दरोगा
 सबको पीट-पीटकर
 कुए  में डाला.
 बताओ  क्या?

Gufa ki Paheli

Ek Gufa ke Do Rakhwale.
Dono Lambe
Dono Kale
Btao Kya?

Saturday, December 8, 2012

Husband wife ki Paheli

Ek adami ne apni patni ko jaan se mara.
Bahut logo ne dekha lekin usko hatya ka doshi nahi mana.
Kyon ??


Friday, November 30, 2012

Math Riddles

8 ko likho 8 baar
utter aaye 1000
(8 Ko 8 baar Kaise Likhe ki unka answer 1000 aana Chahiye)

Sunday, November 25, 2012

Ladki ki Paheli

Ladki ke paas wo konsi cheez hai jo Uske paas
shaadi se pahle bhi hoti
Aur Shadi k baad bhi
Par Shadi wale Din Nhi hotii?

Paheliyan in Urdu with Answer

Murgi anda deti hai,
       Aur 
Cow dudh dethi hai,
To Aisa kon hai
Jo anda bi deta hai & dudh bhi dita hai..

Friday, November 23, 2012

Tuesday, November 20, 2012

Chaav Dhup ki Paheli

ye btao vo kon si chij h
Jo Dhup me aane par jalne lagti h,
Chhav me aane par murjha jati h,
aur Hawa chalne par mar jati h.

Friday, November 16, 2012

Doctor ki Paheli

Ek din, Ek vakil aur uske bete ka accident ho gaya,

Unhe hospital le jaya gaya,

Operation room me Doctor ne Enter kiya aur ladke ko dekh kar kaha

?

?

?

ye to mera beta hai..

To my frends bataiye doctor ne us ladke ko apna beta kyo kaha?

Monday, November 12, 2012

Thursday, November 8, 2012

Paheli for kids

Dunia bhar ki karta sair,
Dharti pe na rakhta pair,
Din me sota raat me jagta,
Raat andheri meri bagair
jaldi batao mai hu kaun??